Itna tera intezaar kiya
Dil ko khafa sau baar kiya
Tujhse wafa maine ki iss qadar
Teri judaai se pyaar kiya

Toot jaaye jo rishte laazmi to nahi
Ke dilon se mohobbat ho khatam

Barishon mein jab yaad aate ho tum
Bheeg jaata hoon main muskuraate hai gham
Main zameen ki tarah tarsa hoon pyaar ko
Baadlon ki tarah laut aao sanam

Barishon mein jab yaad aate ho tum
Bheeg jaata hoon main muskuraate hai gham

Chhod ke mujhko jaha baithe ho
Kaisa waha nazaara lagta hai
Chhod ke mujhko jaha baithe ho
Kaisa waha nazaara lagta hai
Tod ke pairon mein jo rakha
Wo dil hamara lagta hai

Jaanta hoon main yun to
Tum kabhi na miloge
Phir bhi tumko hi dhoondhe ye kadam