Jaana adhoora hoon poora karde
Tu safar mera, hai tu hi meri manzil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil..

Aaj bhi khayal tera sone nahi deta
Aaj bhi kisi ka mujhe hone nahi deta
Aakhon mein samandar bhar ke
Dekhoon teri photo
Par Tera hansta chehra mujhe rone nahi deta

Kaash dhuye ki tarah teri
Yaadon mein ud jaaun
Hasti mita ke khud ki
Tujhse jud jaaun
Aa uss bheed mein phir ek dafaa
Mujhe maar aawaz tujhe sun
Peechhe mud jaaun

Yaad kar baahon mein baahein daal tera chalna
Karu kisi ladki ka zikr tera jalna
Kaha se laayi itni dariya dili jaana
Pehle zakhm dena, phir malham laga ke malna

Ek baar apni baahon mein sulaa toh sahi
Jhootha hi magar pyaar dikha toh sahi
Suna maangti ho rab se ki khush na rahoon

Main jeena chhod dunga tu aa toh sahi

Phone pe mere main photo ko teri laga kar hata doon
Likhkar tujhe main roz message unsend button daba doon
Jaate jaate dil toh mera waapas kar jaati
Tere ishq mein jalne se achha main khud ko mita doon
Aansu nahi aankhon ke raste jaan ja rahi hai
Tera mujhse mil na pana meri rooh kha rahi hai
Rab na kare kisi ko maut aaye aisi
Jis kadar jaana teri yaad aa rahi

Wo raat bad-dua thi jo ab lag chuki hai
Umeedein saari so gayi babasi jagg chuki hai
Kaise kahoon mujhe teri yaad nahi aati
Khatam ho chuka hoon bas nabz na ruki hai
Sach meri jaana mohobbat
Aaj bhi tujhse koi gila nahi
Dil cheer diya tere pyaar ne
Iss kadar phir kabhi sila nahi
Jeene marne ki tere saath khayi kasmein
Nibhaayi thi rashmein
Aur dekh aaj kis kadar main ho gaya begaana
Tere sheher aaya aur tujhse mila nahi

Aur kitna likhu main teri yaad mein
Koi dam nahi meri fariyaad mein
Rooh bhi meri mujhse chheen ke le gayi
Main main na raha tere baad mein